Friday, March 9, 2007

Ghazals Sung by Pankaj Udhas

 

Ghazals Sung by Pankaj Udhas

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pankaj Udhas's Album!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mehek!

Chupke chupke, sakhiyon se voh baatein karna bhool gayi
Mujhko dekha, panghat pe toe, paani bharna bhool gayi

Pehle shaayad usko mere chehre ka andaaz na tha
Mujhse aankhein takrayi toe, khud pei marna bhool gayi

Sach puccho toe meri vajah se usko aisa rogg laga
Kaajal mehndi kangan bindiya se sawarna bhool gayi

Kya jaane kabh ushse milne aa jaaoon ish khwaish mein
Chatt par beithi rehti hei voh chatt sei utarna bhool gayi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun mere khat ka jawab aaya
Lifafei mein ek gulaab aaaya

Hawa mein bikhri hei uski khusboo
Zaroor uska adaab aayaa

Behek na jaaye yeh dil humaara
Ghazab ka ushpei sawaab aayaa

Hasin hei duniya mein kon sabse?
Toe naam uska janaab aaaya

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saaya bankar saath chalenge ishke bharose matt rehna
Apne hamesha apne rahenge ishke bharose matt rehna

Saawan ka mahina aate hi baadal toe chaa jaayenge
Har haal mein lekin barsenge ishke bharose matt rehna

Suraj ki maalind safar pe roz nikalna padta hei
Beithe beithe din badlenge ishke bharose matt rehna

Behti nadi mein kacche ghade hei rishte naate husn vafa
Duur talak yeh behtei rahenge ishke bharose matt rehna

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aashiqonei ek khawab dekha hoga
Tabh yeh tera sawaab bana hoga

Mehkason nei duwa ki hogi
Tabh yeh kamsin hijaab bana hoga

Aarzoo mausamO ki hogi
Tabh labbo ka gulaab khila hoga

Tunei angdaainya li hogi
Tabh nasha yeh behisaab bana hoga

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qudrat kei uslulO mein badal kyon nahi hota
Joe aaj hua hei vahi kal kyon nahi hota

Har jheel mein paani hei har ek jheel mein lehren
Phir sabh kei mukaddar mein kamal kyon nahi hota

Jabh ushne hi duniya yeh diwaan likha hei
Har aadmi piyaari si ghazal kyon nahi hota

Har baar na milnei ki kasam khaake milei hum
Apnei hi iraadon kei amal kyon nahi hota

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu jaa raha hei toe tanhaiyaan bhi leta jaa
Yeh talukaat ki parchaiyaan bhi leta jaa

Nazar kei charchei gharo ki kahaniyaan bhi sameit
Gali mein gunjti rushwaiyaan bhi leta jaa

Gayi ruutOn ka har ek lamha mujhko lautta dei
Phir apni yaadon ki purvaiyaan bhi leta jaa

Kabhi joe tutt kei barsi thi meri baahon mein
Joe ho sake toe voh angdaiyaan bhi leta jaa

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chuun gayi jabh se tera aanchal hawa
Aur paagal ho gayi paagal hawa

Kiski zulfein chuum kar aayi hei yeh
KhusbuOn sei ho gayi jaltal hawa

Jish gali mein ishq bhatkaye phira
Phir kisi din ush taraf le chal hawa

Ghar kei baahar dusra mausam raha
Ghar kei andar phir vahi baadal hawa

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maikhane se sharaab se saaki se jaam se
Apni toe zindagi shuru hoti hei shaam se

Aa mera haath thaam bahot ho gaya nasha
Yaaron nei Mey pilaadi bahot tere naam se

Rakhtei hei paak dil ko niyat aur nigaah ko
Pitei hei hum sharaab bahot ehtraam se

Mehkas ki har khushi toe hoti hei sharaab se
Milti hei zindagi ushei har ek jaam se

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 

-----------------------------------------------------------------------------------------------------

From - Bhoomi Patel 

Join me at : Join SMS Group
http://groups.yahoo.com/group/freesmsindia/join

 

Also Enjoy our website :
www.kathiyavad.com

www.groupstalk.com

No comments: